Popular Posts

Friday, January 8, 2016

Adhuri Kahani

Rimjhim barsat me peheli mulakaat me,

Bheega uska tan badan us barsat me,

Sharab se bhi zayada naseelapn uski aankhon me,

Bheege duppate ko behad kabiliyat se sambhalna us barsat me,

Na jane kaha se seekhi thi ye ada usne us barsat me,

Na jane kitno ko ghayal kar gayi thi uski ye ada us barsat me,

Hosh na raha tha mujhe bhi us barsat me,

Yun laga koi farista utar aaya ho zameen par us barsat me,

Wo sarmayai si, ghabrayi si us barsat me,

Aayi thi milne apne yaar se us barsat me,

Par ye basrat itni berahem nikali ki,

Ki cheen liya uska yaar us barsat me,

Wo royi is kadar us barsat me,

Yun laga ki barsat bhi ro utthi ho uske sath me...






Written By- Akshay Bhardwaj
Date- 17 dec. 2012
Copyright @Akshay Bhardwaj

No comments: