Popular Posts

Friday, June 7, 2013

Tanha hoon...

Tanha hoon,
Udaas hoon,
Akela bhi hoon,
Manzil ka bhi kuch pata nhi,
Yun to chala bhi hoon akela kafi door tak,
Par ab thak chuka hoon chalte chalte,

Rahen sari anjani si kyn hai,
Har raha begani si kyn hai,
Chala jis raha par bhi,
Na thair mila na thikana mila,
Manzil ka kuch bhi thikan na mila,

Koshishen raang kyn nhi la pati hai,
Har baar kyn dhul jati hai ye,
Jaise dhul jate hai sagar ke kinare,
Har ek lehar ke baad,
Waise he ye kyn dhul jati hai,

Jaanta hoon ki abhi chalna bahut hai akela he,
Phir bhi na jane kyn ab ruk jane ko maan karta hai,
Karta hai maan ab thair jane ko,
Phir kabhi na jaagne ko,
Khamosh ho jana chahata hoon ab,

Darta to nhi hoon nakamiyon se,
Par na jaane kyn ab thak chuka hoon,
Guzarish hai us khuda se,
Ki ab or na satye mujhko,
Ya to MANZIL ka pata de mujhko,
Ya MANZIL ko pahucha de mujh tak,

Tanha hoon,
Udaas hoon,
Akela bhi hoon,

Written By- Akshay Bhardwaj
Written Date- June 7, 2013
Posted Date- June 7, 2013
Copyright @Akshay Bhardwaj

Monday, June 3, 2013

Ho Raha Bharat Nirman...???

Ho rha Bharat Nirman.....!!!

Bhooka hai aadmi,
Nanga hai tan uska,
Or ho rha hai Bharat Niman...

Kamane ke liye job hai nhi,
Sar dhakne keep liye chaat hai nhi,
Or ho rha Bharat Nirman...

Dari Hui hai aadhi aabadi,
Loot rhi hai betiyan,
Or ho rha hai Bharat nirman...

Ro rha hai khoon ke aansu insaan,
Or poochne wala koi nhi,
Or ho rha hai Bharat nirman...

Seek rhi hai rotiyan,

In netaon ki humare khoon-paseene ki kamayi se,
Or ho rha hai Bharat nrman...

Ye kaisi sarkar,
Jo karti nhi kuch kaam,
Sivaye chori, dakaiti, loot-khasoot, balatkaar or bhrastachar ke,
Or ho rha hai Bharat nirman...

Ho rha hai Bharat niran kahi agr to
Wo hai bhirastchaar, loot-khasoot, chori, dakaiti or balatkaar me...

Ye kaisa Bharat nirman???
Mera Bharat mahaan,
Ho rha hai Bharat nirman

Written by- Akshay Bhardwaj
Written date- June 3, 2013
Posted date- June 3, 2013
Copyright @Akshay Bhardwaj