Popular Posts

Sunday, August 14, 2011

Aazadi (Freedom)

Aaj 15 august 2011 ko hum desh ki 64vi saalgiraha mana rahe hai. Desh ko aazad hue 64 saal ho gaye hai. Is desh ko aazad karwane ke liye bhagat singh, sukhdev,chandeashekhar aazad,subhash jaise anginat krantivveron ne apni jaan ki bazi laga di tab jaa kar hume yeh aazdai ka suraj naseeb hua, par aaj issi desh ne in krantiveeron ko bhula diya yaha tak ki congress jo ye kahete nahi thakti hai ki mahatma gandhi jaisa sachcha desh bhakt is desh me or koi nahi hua,jo yeh kaheti hai ki gandhi he uske aadhar hai ne khud gandhi ke aadharo se koson dur hai. Kahene ko hum aazad ho gaye hai but aaj bhi hum gulami me he jee rahe hai. Gandhi or wo sare krantiveer or wo jinhone aazadi ke liye apni jaan ki bazi laga di aaj apne he desh me begane ho gaye hai sirf or sirf in netaon ki wajha se. Humare netaon ko ye sab sirf 26 jan or 15 aug ko he yaad aate hai par koi bhi neta unke usulon ko nahi manta.Pahele hum aangrezon ki gulami me jee rahe the par aaj hum in netaon ki gulami me jee rahe hai. Aaj Bharat me bhirastachar, mehngai, loot-khasot, kale dhan ka har taraf shor macha hua hai par humre netaon ko isse koi bhi matlab nahi hai ye to sirf apni jeben bharne me lage hue hai or public ko lootne me. Iske alawa or koi kaam he nahi hai inke paas. In netaon ne hume aangrzon ki gulami se nbhi zayda badtar zindagi me pahucha diya hai. Humare kisi neta me itni si bhi himmat nahi hai ki wo public ke samne aa kar apni galti sudhar le. Mujhe is baat par ek kavita yaad aa rahi hai jo ki Kaka Hatrasi ne Pakistan ke bare me likhi thi-
"Kabi na kare galti use bhagwan kahete hai
Kare galti or mane use insaan kahete hai
Kare galti pe galti use saitan kahete hai
Kare galti pe galti or na mane to us
Sitaan ke dada ko pakistan kahete hai."
yeh kavita pakistan ke liye likhi gayi thi but aaj ki tarikh me yeh kavita humare netaon ke bare me bilkul satik baithti hai kynki humare neta bhi pakistan jaise ho gaye hai wo bhi saitaan ke dada ho gaye hai. Humare P.M. yeh kahete nahi thakte hai ki bharat me 64 saal se loktantr zinda hai. Wo kis muh se aisa kahe rahe hai jab wo ek lokpal bill ko pass karane ki himmat nahi dikha pa rahe hai. Main to ye kahena chaha raha hoon ki ab to humara loktantr aakhiri saanse gin raha hai in netaon ne use us stage par pahucha diya hai jaha wo apni maut ke liye dua mang raha hai. Humare netaon ka kahena hai aaj ke yuva aazdi ke mayane nahi samjhte hai unhe aazadi kiya hoti hai ye bhi nahi pata but agar hum yuvaon ko aazadi ke mayane nahi pata hai to kiya inhe pata hai ki aazadi kiya hoti hai...? Aaj ka yuva har mamale me in netaon se kahi jayda jankari rakhta hai use pata hai ki aazadi kiya hai or aazadi ke mayane kiya hai usse is bare me kuch bhi batane ki jaroorat nahi hai. Agar aaj ka yuva chup hai to iska yeh matlab nahi hai ki wo kuch akrne ke layak nahi hai ye yeh tufaan aane se pahele ki shanti hai or jab ye tufaan aayega tab in netaon ko pani ke liye bhi nahi poochega Or jis din ye tufaan aayega us din bharat sach me aazad ho jayega. Aaj hindu, muslim, sikh, christian sab ek dusre ke dushman bane hue hai sirf in netaon ki wajha se. Aaj is desh ki wo halat ho gayi hai jaha aamir garib se or garib aamir se to jalta he hai balki yaha tak bhi ki aamir aamir se or garib garib se bhi jalta hai. Jis din ye neta is desh or aam aadmi ke bare me sochne or kaam karne lagenge us din us din yeh desh sahi mayane me aazadi ka jashan mana payega or yeh desh kushaal hoga jaha har koi khul kar khusi mana payega jaha sab log hasi khusi gale milenge jaha kisi bhi tarah ki koi dushamni nahi hoagi. Aisa Bharat chahiye hume jaha hum sach me aazdi ke sath jee paaye...


Ek Hindustani
Jai Hind Jai Bharat
Jai Jawan Jai Kishaan

Thursday, August 11, 2011

bhardwajakshay42: Government wants to read your tweets, Facebook pos...

bhardwajakshay42: Government wants to read your tweets, Facebook pos...: "NEW DELHI: Beware of what you put in your Facebook messages or your tweets. Your friends and followers may not be the only ones readin..."

Government wants to read your tweets, Facebook posts


NEW DELHI: Beware of what you put in your Facebook messages or your tweets. Your friends and followers may not be the only ones reading them. Chances are government sleuths would be vetting these private messages.

This follows a home ministry directive to the department of telecom, asking it to "ensure effective monitoring of Twitter and Facebook". While "effective monitoring" has not been defined, sources said the MHA's intention is complete surveillance of the sites. This means not only does the government want to keep an eye on tweets and wall posts that are in the public domain but also the content you share only with your friends.

Minister of state for communication and information technology Milind Deora said in a written reply in the Rajya Sabha last week that DoT had received a letter from the MHA asking it to monitor networking websites in order to "strengthen the cyber security paraphernalia".

His statement was in response to a question from MP NK Singh.

A senior government official said the home ministry's directive asked DoT to facilitate access to all data in social networking sites for its intelligence agencies.

Sunil Abraham, executive director of Centre for Internet and Society said these "blanket surveillance practices" are counterproductive.

"People advocating greater surveillance don't understand how the web works. In some cases, if there is evidence, targeted monitoring can be done but if government wants to go through each tweet and every status update, it's just waste of money and resources. Agencies involved in monitoring can do better work by focusing on core issues. This will also save law-abiding citizens from unnecessary harassment," said Abraham.

Some Facebook and Twitter content is already under the surveillance of the National Technical Research Organization. Deora confirmed this, telling Parliament that "telecom service providers (already) provide facilities for lawful interception and monitoring of communication flowing through their network including communications from social networking websites like Facebook and Twitter".

He said in cases where data is encrypted by websites like Twitter, the department works with the parties concerned to obtain access. Twitter and Facebook don't share private information on their servers without a court order. Twitter also has a policy of informing the user whose information is being shared with security agencies.

India has in the recent months sought access to data from internet service providers as well as companies like Research In Motion, which sells BlackBerry phones capable of encrypted emails and messaging.

In April the government notified a new set of IT rules, virtually making intermediaries like internet service providers, web hosts and websites like responsible for any wrongdoings on their networks. The rules were widely criticized by privacy activists.

Law enforcement agencies across the world monitor social networking sites but in most cases it is selective. A few days ago, Pentagon said that it was looking to monitor websites like Twitter in order to identify terror threats as well as to keep a tab on trends, unrest and events like popular revolts in the Arab world. Darpa, a research body under the US department of defence, said it had earmarked $42m to fund research into monitoring social networks.

TIMES VIEW :-

In the terrorism-ridden world we live in, security demands will be intrusive. But that doesn't mean the intrusion can be all-pervasive. When there are detailed guidelines on phone tapping, there's no reason why similar guidelines shouldn't be applied to surveillance of social networking sites. The basic principle should be clear: it can't be a fishing expedition on the off-chance that some wrongdoing may be detected. Surveillance of a person's social networking activity should be allowed only where there is a prima facie case of criminal activity. Plus there should be periodic review of each case.

Friday, August 5, 2011

Women's Life...

Bharat duniya ka sabse jayada ajab desh jaha hum bharatiye cheeti se lekar parvat tak ko pujte hai, jaha hum aurat ko maa or devi ka darja dete hai, lekin phir bhi yaha or puri duniya me aaj bhi girls child ko maut ke ghaat utaar diya jata hai or girls ko bojh he mana jata hai uski shadi bhi bachpan me kar di jati hai chahe samne wala buddha ho ya jawan ya nabalig kyn ? Or kyn nahi humari government aurton ko 33% reservation de rahi hai usse kis baat ka dar hai..? Wiase to bahut bad-chad kar baaten hoti hai mahila reservation par par jab bari aati tab kyn government ki bolti band ho jati hai...? Humare 33 crore devi devta hai. Hum navratn me maa ko pujte hai lekin uske baad phir hum pahele jaise ho jate hai. Aisa bhi bhi nahi hai ki ye sirf aadmi he karte ho yaha aurten bhi yehi kaam karti hai. Agar aisa nahi hai to phir kyn ek aurat dusari aurat se jalti hai. Kyn unhe apni bahu se sirf ladka he chahiye hota hai. Kyn ek aurat aurat hone ke babjood apni ladki ko paida hote he maar deti hai. Yaha main kisi burai ya badai nahi kar raha hoon but jo sach hai wo he main kahe raha hoon. Hum kirsh ko pujte hai lekin kabhi ye nahi kaha ki ye bhi humare jaise he the kynki hum inhe God bolte hai or inke khilaaf ek word bolna bhi galat kahete hai. Lekin kya kisi ne soch ki krish ne kitni ladkion ke sath raas-leela ki or kitni ladkiyon ki life ko barbaad kiya nahi na kisi ne nahi soch aisa kynki hum unhe God bolte hai. Aaj mujhe ek baat or yaad aa rahi hai par mujhe ye yaad nhi hai ki wo kaun tha jisne wo baat boli thi lekin wo Bollywood ka hero hai or jo baat usne boli thi us baat par sari ladkiyan kafi hasi thi or unne us baat se koi parshani bhi nhi thi or jo baat us hero ne boli thi wo baat ye thi ki jab wo school me padta tha tab wo school ki seediyon ke neeche se upar jati girls ko dekhte the coz wo skirt pahene hui hoti thi. Girls kyn sirf paise walo ko he pasand karti hai. Dekh lijye ab bhi jabki salmaan khan jaise actor 40 par ho chuke hai tab bhi girls inhi logo ko pasand karti hai. Aap soch rahe honge ki main baat ko kaha se kaha le gaya but ye sab issi topic se juda hai or main kya koi in baaton se shemat hoga. Yaha aurat he aurat ki dusman bani hui hai to hum aadmi se kaise ummid kare ki use badal jana chahiye. Agar badlaab lana he hai to pahele aurton khud me badlaab lana hoga coz agar aurat khud me badlaab le aayi to aadmi me bhi badlaab aayega, kynki hum dono he ek coin ke do pahelu hai. Agar hum kisi coin ek he pahelu par he jayada dhayn denge to dusra pahelu khud he badsurat ho jayega. Isliye aurton ko khud me badlaab lana hoga or aadmi ko bhi aapne me badlaab lana hoga tabhi aurton ki life sach me badal payegi.

Change lana bahut jaroori hai or aurton ki life me change aan he chahiye. Kynki bharat ab aadhi aabadi ke sath he nahi aage tak ja payega use ab baki ki aadhi aabadi ko bhi sath me lena hoga or us baki ki aadhi aabadi ko sharirik or mansik suraksha ka wada bhi dena hoga tabhi bharat aage ja payega or duniya ka sartaaj ban payga.


Ek Bhartiye
Jai Hind
Jai Jawan Jai Kisaan

bhardwajakshay42: How Successful Our Medical Tourism?

bhardwajakshay42: How Successful Our Medical Tourism?: "Indian medical ne kafi tarraki ki hai. Aaj Indian medical duniya bhar me kafi famous ho gaya hai or duniya bhar ke log India aa kar apna..."

How Successful Our Medical Tourism?

Indian medical ne kafi tarraki ki hai. Aaj Indian medical duniya bhar me kafi famous ho gaya hai or duniya bhar ke log India aa kar apna ilaaz karwa rahe hai. Aaj ye jitni tarraki Indian medical ne ki hai utni shayad kisi or sector ne bhi nahi ki hogi. Humari sarkar ka kahena hai ki hum duniya me sabse badiya medical sevayen or sabse sasta ilaaz uplabdh karwa rahe hai. Itna sasta ki koi bhi aadmi aasani se apna ilaaz desh ke kisi bhi medical institute me karwa sakta hai but yaha aisa nahi ho raha hai coz jise ilaaz ki jaroorat hai wo sadak ke kinare maar raha hai, ilaaz se pahele medical institute walo ko paisa chahiye tabhi wo ilaaz karenge, chahe itni der me wo insaan mar he kyn na jaye. Humari sarkar kahete hai ki humari medical suvidhaye duniya bhar se kafi badiya or kifayeti hai but kya srakar ye batayegi agar aisa hai to sarkar ke karinde or bade udhoygpati, actor bagirah India se bahar he kyn apna ilaaz karwate hai, unhe kya Indian medical par bharosha nahi hai. Taza mamle me dekhiye Sonia Gandhi bhi apna ilaaz karwane India se bahar he gayi, kya unhe Indian medical par bharosha nahi tha jo wo India se bahar apan ilaaz karwane gayi...!!! Kitna paisa barbaad kiya unhone or phir uske baad unse milne bhi kai log gaye honge or isme se bhi kai loge ne apna ticket sarkari kaam ke quota par he banbaya hoga or isme aam janta ka he paisa barbaad hua hoga. Ab shayad ye kaha jaye ki kya kisi insaan ko ko ye bhi haq nahi hai ki wo kiya kare ya na kare, wo apan ilaaz bhi apni marzi se na kara paye to main itna kahena chahunga ki us insaan ko haq hai ki wo kiya kare ya na kare but mujhe is baat ka jawab chahiye ki jab India me he sara kuch ho pa raha hai to phir hume India se bahar ja kar paisa barbaad karene ki kiya jaroorat hai. Aap kahete hai ki Indian’s ko kahi bhi bahar ja kar ilaaz karwane ki jarrorat nahi hai coz India me he sare ilaaz ho jate hai. Agar aisa hai to ye log kyn India se bahar ja kar he apna ilaaz karwate hai. Ya to Indian medical abhi tak itna kabil nahi hua hai ki wo abhi bhi achcha ilaaz uplababdh karwa paye ya phir ye inko Indian medical par bharosha nahi hai. Ya to ye sirf hum jaise logo ke liye he hai job hale he ilaaz karwate-2 ya ilaaz ke duraan he kyn na mar jaye, kynki hum jaise log to kitne he mar jaye lekin humari sarkar ke kaano par to joo bhi na rengegi. Sarkar ko to sirf hum jaise aam aadmi ka he khoon chusne ka kaam aata hai chahe wo kisi bhi tarha se chuse. Fuck this government we hate our leader coz they are not true leader. Ye budhe or lachaar leader kuch karne layak nahi hai or inse bhi jayda lachaar hum hai jo baar baar inhe he parliament me bhej rahe hai, aakhir kab hum neend se jagenge.

Jago Indian Jago...

Ek Indian

Jai Hind

Jai Jawan Jai Kissan