Popular Posts

Sunday, August 14, 2011

Aazadi (Freedom)

Aaj 15 august 2011 ko hum desh ki 64vi saalgiraha mana rahe hai. Desh ko aazad hue 64 saal ho gaye hai. Is desh ko aazad karwane ke liye bhagat singh, sukhdev,chandeashekhar aazad,subhash jaise anginat krantivveron ne apni jaan ki bazi laga di tab jaa kar hume yeh aazdai ka suraj naseeb hua, par aaj issi desh ne in krantiveeron ko bhula diya yaha tak ki congress jo ye kahete nahi thakti hai ki mahatma gandhi jaisa sachcha desh bhakt is desh me or koi nahi hua,jo yeh kaheti hai ki gandhi he uske aadhar hai ne khud gandhi ke aadharo se koson dur hai. Kahene ko hum aazad ho gaye hai but aaj bhi hum gulami me he jee rahe hai. Gandhi or wo sare krantiveer or wo jinhone aazadi ke liye apni jaan ki bazi laga di aaj apne he desh me begane ho gaye hai sirf or sirf in netaon ki wajha se. Humare netaon ko ye sab sirf 26 jan or 15 aug ko he yaad aate hai par koi bhi neta unke usulon ko nahi manta.Pahele hum aangrezon ki gulami me jee rahe the par aaj hum in netaon ki gulami me jee rahe hai. Aaj Bharat me bhirastachar, mehngai, loot-khasot, kale dhan ka har taraf shor macha hua hai par humre netaon ko isse koi bhi matlab nahi hai ye to sirf apni jeben bharne me lage hue hai or public ko lootne me. Iske alawa or koi kaam he nahi hai inke paas. In netaon ne hume aangrzon ki gulami se nbhi zayda badtar zindagi me pahucha diya hai. Humare kisi neta me itni si bhi himmat nahi hai ki wo public ke samne aa kar apni galti sudhar le. Mujhe is baat par ek kavita yaad aa rahi hai jo ki Kaka Hatrasi ne Pakistan ke bare me likhi thi-
"Kabi na kare galti use bhagwan kahete hai
Kare galti or mane use insaan kahete hai
Kare galti pe galti use saitan kahete hai
Kare galti pe galti or na mane to us
Sitaan ke dada ko pakistan kahete hai."
yeh kavita pakistan ke liye likhi gayi thi but aaj ki tarikh me yeh kavita humare netaon ke bare me bilkul satik baithti hai kynki humare neta bhi pakistan jaise ho gaye hai wo bhi saitaan ke dada ho gaye hai. Humare P.M. yeh kahete nahi thakte hai ki bharat me 64 saal se loktantr zinda hai. Wo kis muh se aisa kahe rahe hai jab wo ek lokpal bill ko pass karane ki himmat nahi dikha pa rahe hai. Main to ye kahena chaha raha hoon ki ab to humara loktantr aakhiri saanse gin raha hai in netaon ne use us stage par pahucha diya hai jaha wo apni maut ke liye dua mang raha hai. Humare netaon ka kahena hai aaj ke yuva aazdi ke mayane nahi samjhte hai unhe aazadi kiya hoti hai ye bhi nahi pata but agar hum yuvaon ko aazadi ke mayane nahi pata hai to kiya inhe pata hai ki aazadi kiya hoti hai...? Aaj ka yuva har mamale me in netaon se kahi jayda jankari rakhta hai use pata hai ki aazadi kiya hai or aazadi ke mayane kiya hai usse is bare me kuch bhi batane ki jaroorat nahi hai. Agar aaj ka yuva chup hai to iska yeh matlab nahi hai ki wo kuch akrne ke layak nahi hai ye yeh tufaan aane se pahele ki shanti hai or jab ye tufaan aayega tab in netaon ko pani ke liye bhi nahi poochega Or jis din ye tufaan aayega us din bharat sach me aazad ho jayega. Aaj hindu, muslim, sikh, christian sab ek dusre ke dushman bane hue hai sirf in netaon ki wajha se. Aaj is desh ki wo halat ho gayi hai jaha aamir garib se or garib aamir se to jalta he hai balki yaha tak bhi ki aamir aamir se or garib garib se bhi jalta hai. Jis din ye neta is desh or aam aadmi ke bare me sochne or kaam karne lagenge us din us din yeh desh sahi mayane me aazadi ka jashan mana payega or yeh desh kushaal hoga jaha har koi khul kar khusi mana payega jaha sab log hasi khusi gale milenge jaha kisi bhi tarah ki koi dushamni nahi hoagi. Aisa Bharat chahiye hume jaha hum sach me aazdi ke sath jee paaye...


Ek Hindustani
Jai Hind Jai Bharat
Jai Jawan Jai Kishaan

No comments: