Popular Posts

Tuesday, October 30, 2012

Bachpan_______


Bachpan ki Yaadein.....
Jab bhi yaad aati hai,
Chehre par muskaan utar aati hai,
Kuch khatti to kuch meethi yaadein hai,
Bebajha khilkhila ke hasna,
Wo chandni raaton me luddu or
Taas ke patte khelna,
Apna kaha manvane ke rooth jana,
Bhai Behan se bin baat ke ladai karna,
Bhari dophari me chat par khelna,
Maa ke daante par bhi na manna,
Barish ke dino me chat par pani bharke masti karna,
Ghar ke darwaje par Papa ka wait karna,
Or wait karte hue wahi so jana,
Maa hatha se khana khana,
Bhai Behan ka har kadam par sath dena,
Na jane kaha kho jate hai ye Bacpan ke din,
Na jane kyn gujar jate hai ye Bachpan ke din,
Kash ke ye din na gujarte,
Kash ke ye din phir se laut aaye,

Bachpan ki Yaadein.....
Jab bhi yaad aati hai...


Written By- Akshay Bhardwaj
Date- Oct 30, 2012
Copyright @ Akshay Bhardwaj

No comments: