Popular Posts

Friday, August 5, 2011

How Successful Our Medical Tourism?

Indian medical ne kafi tarraki ki hai. Aaj Indian medical duniya bhar me kafi famous ho gaya hai or duniya bhar ke log India aa kar apna ilaaz karwa rahe hai. Aaj ye jitni tarraki Indian medical ne ki hai utni shayad kisi or sector ne bhi nahi ki hogi. Humari sarkar ka kahena hai ki hum duniya me sabse badiya medical sevayen or sabse sasta ilaaz uplabdh karwa rahe hai. Itna sasta ki koi bhi aadmi aasani se apna ilaaz desh ke kisi bhi medical institute me karwa sakta hai but yaha aisa nahi ho raha hai coz jise ilaaz ki jaroorat hai wo sadak ke kinare maar raha hai, ilaaz se pahele medical institute walo ko paisa chahiye tabhi wo ilaaz karenge, chahe itni der me wo insaan mar he kyn na jaye. Humari sarkar kahete hai ki humari medical suvidhaye duniya bhar se kafi badiya or kifayeti hai but kya srakar ye batayegi agar aisa hai to sarkar ke karinde or bade udhoygpati, actor bagirah India se bahar he kyn apna ilaaz karwate hai, unhe kya Indian medical par bharosha nahi hai. Taza mamle me dekhiye Sonia Gandhi bhi apna ilaaz karwane India se bahar he gayi, kya unhe Indian medical par bharosha nahi tha jo wo India se bahar apan ilaaz karwane gayi...!!! Kitna paisa barbaad kiya unhone or phir uske baad unse milne bhi kai log gaye honge or isme se bhi kai loge ne apna ticket sarkari kaam ke quota par he banbaya hoga or isme aam janta ka he paisa barbaad hua hoga. Ab shayad ye kaha jaye ki kya kisi insaan ko ko ye bhi haq nahi hai ki wo kiya kare ya na kare, wo apan ilaaz bhi apni marzi se na kara paye to main itna kahena chahunga ki us insaan ko haq hai ki wo kiya kare ya na kare but mujhe is baat ka jawab chahiye ki jab India me he sara kuch ho pa raha hai to phir hume India se bahar ja kar paisa barbaad karene ki kiya jaroorat hai. Aap kahete hai ki Indian’s ko kahi bhi bahar ja kar ilaaz karwane ki jarrorat nahi hai coz India me he sare ilaaz ho jate hai. Agar aisa hai to ye log kyn India se bahar ja kar he apna ilaaz karwate hai. Ya to Indian medical abhi tak itna kabil nahi hua hai ki wo abhi bhi achcha ilaaz uplababdh karwa paye ya phir ye inko Indian medical par bharosha nahi hai. Ya to ye sirf hum jaise logo ke liye he hai job hale he ilaaz karwate-2 ya ilaaz ke duraan he kyn na mar jaye, kynki hum jaise log to kitne he mar jaye lekin humari sarkar ke kaano par to joo bhi na rengegi. Sarkar ko to sirf hum jaise aam aadmi ka he khoon chusne ka kaam aata hai chahe wo kisi bhi tarha se chuse. Fuck this government we hate our leader coz they are not true leader. Ye budhe or lachaar leader kuch karne layak nahi hai or inse bhi jayda lachaar hum hai jo baar baar inhe he parliament me bhej rahe hai, aakhir kab hum neend se jagenge.

Jago Indian Jago...

Ek Indian

Jai Hind

Jai Jawan Jai Kissan

No comments: