Popular Posts

Thursday, October 13, 2011

Zindagi Ka Musafir...

Zindagi ki dagar hai badi muskil yaaron,

Is dagar par chalna zara shmbhal kar,

Kynki koi nahi jaanta ki,

Kab, kaha or kaise mout aa jaye,

Dheme se, haule se, aahishte se,

Akshar dekha hai humne

Akshar dekha hai humne,

Is dagar par log be maout mare gaye hai,

Kabhi apno ke hathon to kabhi gairon ke hathon,

Hum sab to musafir hai is dagar ke,

Jo is dagar par tede-mede chale ja rahe hai,

Jaha laga ki bas yehi manzil hai,

Humne socha ki shayad hume yahi tak aana tha,

Waha phir se ek nayi dagar nazar aa gayi,

Hum chalte rahe nayi dagaren banti gayi,

Na koi their than a koi theekana tha,

Is darar me hum jaise hazaron milte gaye,

Hazaron bichadte gaye,

Kaun kaha se aaya tha,

Kaun kaha gaya koi nahi jaanta,

Hum sab to musafir hai is dagar ke,

Kisi ko koi khabar na thi,

Kaun jeeta raha or kaun mar gaya,

Sab apne chahane walon me mast the,

Na koi apna than a koi paraya tha,

Na hum kisi ke ho sake na ki humara ho saka,

Aisa nahi tha ki hum kisi ke hona nahi chahate,

Hona chahate the par is dagar par ye mumkeen na tha,

Is dagar ki dushwariyon me hum kuch bhi na pa sake,

Kaha gaye wo musafir kaha gaye wo humsafar,

Hume akela chod kar,

Jo kehte the hum humesha sath rahenge is dagar par,

Chahe aandhi aaye, chahe tofaan aaye,

Hum sath na chodenge,

Hum akele reh gaye is dagar par,

Musafir hoon is dagar ka akela he chalta jar aha hoon,

Zindagi ki dagar hai badi muskil yaaron,

Is dagar par chalna zara sambhal kar

Copyright @ - Akshay Bhardwaj

Written date – Oct 11, 2011

Posted date – Oct 13, 2011

No comments: