Aaj kuch tanha sa hoon
Zindagi kuch rushba ho gayi lagti hai
Kuch beete pal yaad aa gaye
Un palon ki rabangi yaad aa gayi
Un haseen palon ko yaad karke
In aankhon me kuch udasi si cha gayi
Kyn choota wo haseen pal
Kyn choota wo haseen waqt
Jab-jab beetta tha humara sara waqt
Apne yaaron ke sath
Unke roothne-manane ke sath
Jeene-marne ki kasme khane ke sath
Wo pal jab bhi yaad aate hai aankhen...
Ankhen kuch nam si ho jati hai meri
Un haseen palon ko yaad karke
Kuch khushi bhi hoti hai
Kuch dar bhi lagta hai
Khushi isliye ki wo haseen pal humne jiye
Dar isliye ki wo haseen pal hum kho na de
Yeh humari khushnaseebi hai
Ki hum wo pal jee paye
Yeh unki badnaseebi hai
Ki wo yeh pal na jee sake
Phir kyn aaj tanha hoon
Phir kyn aaj zindagi rushba si hai meri
Aisa lagta hai ki jaise is bheed me
Gum ho gaya hai mera namonishan
Aisa lagta hai jasie takdeer bhi
Rootha gayi hai meri mujhse
Wo raha bhi rooth gayi mujhse
Jis raha par chal raha tha main
Mere hathon ki lakireen mit gayi
Meri sasen bhi zuda ho gayi
Kyn khuda ne aisi saza di mujhe
Kyn khuda ne meri sasen na cheeni mujhse
Kyn zinda rkhkha mujhe is duniya me
Aaj kuch tanha sa hoon
Zindagi kuch rushba ho gayi lagti hai...
Written By- Akshay Bhardwaj
Date- 19 Sept 2011
Copyright @ Aksahy Bhardwaj
No comments:
Post a Comment