Popular Posts

Tuesday, April 2, 2013

Siksha ka Adhikaar


Abhi haal he me humari nikammi sarkar ne ek kanoon lago kiya hai jo ki siksha ka adhikaar naam se jana ja rha hai. Agar dekha jaye to ye kanoon har bachche ko padne ka adhikaar deta hai jo ki ek achchi baat hai kynki aaj ke hisaab se har ek insaan chahen wo bada ho ya chota ko padne ka haq hai or siksha par sirf aamir he haq kyn rakhe gareeb ko bhi haq mila chahiyen. Jab tak sab pad likh nahi paayenge Bharat aage nahi bad he paayega. Bharat ki tarrakki apni janta ko pada likha ke he ho paayegi.

Lekin baat sirf pada likha dene tak he seemit nahi hai kynki jis tarah se humare yaha padai hoti hai uske hisaab se to main to ye kahunga ki pad likh lene ke baad bhi chotu chai ki dukaan par, hotel par, dhabon par jaroor dikhega. Kynki humari education hume pet bharana nahi sikha paati. Ye to chotuon ki baat thi but ye baat un par bhi theek hai jo aaj apni graduation or post graduation ki degree le kar JOB pane ke liye mare-mare phir rahe hai. Huamari nikammi sarkar padne ke liye to bola rahi hai, lekin usne is baat ka koi bhi intzaam nahi kiya ki jab hum pad likh kar bhaar aaye tab humari roji roti ka intzaam kaha se hoga???

Jis sarkar ko chalane wale he nikamme, kamchor or anpad chala rahe ho to phir unke duara banaye gaye kanoon bhi unki soch jaise he honge. Aap khud soch ke dekhiye jis ghar me kamane wala he mar gaya ho or kamane ki jimmebari un masoomon ke haath me aa jaye tab aap kaha se use padne ke pryrit kar paayenge jab ki unke pass apne pet ko bharne ka bhi koi zariya nahi rahega or bhooke pet to bhajan bhi nahi hota to padai kaha se??? Or aaj ke Bharat ki position dekh ke to wo panda to soch he nhi sakte kynki jis desh me aap har pal janata ki jeb par daka dalte rehte ho us desh ko pada likh to kabhi nahi paaoge.
Main ye to nahi kahunga ki main is kanoon ka virodhi hoon ya virodh kar raha hoon but jab tak aap public ke liye unki basic need ko poora nahi kar paayenge tab tak aapke duara  banaye gaye sare kanoon bekaar he rahenge. So mera to ye he kehana hai ki pehele aap JOB ki guarantee de, salary bhi badayen jaise baki cheezon ke rate aapne badye hai usi hissab se salary bhi de, sabko rojgaar mile, koi bhi bhookha na so paaye, tab aap success ho paayenge or tab chotu cahi ki dukaan par nahi school me dikhega.

Akshay Bhardwaj
April 3, 2013

No comments: