Zindagi mujhe napasand karti rahi or
Main zindagi ko napasand karta raha...
Main baitha akela soonsan jagha... par...
Zindagi ki waat joh raha tha
Kuch bete pal yaad aaye
Par kahi zindagi nazar na aayi
Harpal zindagi ke sath chalna chaha maine
Harpal zindagi ke sath jeena chaha maine... par...
Zindagi kabhi bhi mere sath na chali
Kabhi aage to kabhi peeche he chalti rahi
Zindagi jeene ki tamnna liye main
Zindagi ke peeche bhagta raha... par...
Zindagi mujhse door jati rahi
Zindagi mujhe napasand karti rahi or
Main zindagi ko napasand karta raha
kaise kahe doon ki zindagi jeena nahi chahata
Jeena chahata hoon jee bhi loonga zindagi
Bas... ek bar muskura de zindagi mere liye
Par... shayad use mera sath pasand nahi
Ya, mujhe uska sath pasand nahi
Zindagi jeene ka andaz pasand nahi
Har din,har pal,har waqt sochta hoon ki,
Aaj zindagi mere liye muskura degi... par...
Meri aankon me aanso aate rahe-jate rahe
Or na zindagi muskura saki na main
Jab chaha zindagi ne mere sath chalna
To main zindagi ka sath na nibha saka
Zindagi mujhe napasand karti rahi or
Main zindagi ko napasand karta raha.............
Copyright @ Aksahy Bhardwaj Writing on May 31,2010 and posted date June 7,2011
No comments:
Post a Comment