Abhi haal he me humari nikammi sarkar ne ek kanoon lago kiya
hai jo ki siksha ka adhikaar naam se jana ja rha hai. Agar dekha jaye to ye
kanoon har bachche ko padne ka adhikaar deta hai jo ki ek achchi baat hai kynki
aaj ke hisaab se har ek insaan chahen wo bada ho ya chota ko padne ka haq hai
or siksha par sirf aamir he haq kyn rakhe gareeb ko bhi haq mila chahiyen. Jab
tak sab pad likh nahi paayenge Bharat aage nahi bad he paayega. Bharat ki
tarrakki apni janta ko pada likha ke he ho paayegi.
Lekin baat sirf pada likha dene tak he seemit nahi hai kynki
jis tarah se humare yaha padai hoti hai uske hisaab se to main to ye kahunga ki
pad likh lene ke baad bhi chotu chai ki dukaan par, hotel par, dhabon par
jaroor dikhega. Kynki humari education hume pet bharana nahi sikha paati. Ye to
chotuon ki baat thi but ye baat un par bhi theek hai jo aaj apni graduation or
post graduation ki degree le kar JOB pane ke liye mare-mare phir rahe hai.
Huamari nikammi sarkar padne ke liye to bola rahi hai, lekin usne is baat ka
koi bhi intzaam nahi kiya ki jab hum pad likh kar bhaar aaye tab humari roji
roti ka intzaam kaha se hoga???
Jis sarkar ko chalane wale he nikamme, kamchor or anpad
chala rahe ho to phir unke duara banaye gaye kanoon bhi unki soch jaise he
honge. Aap khud soch ke dekhiye jis ghar me kamane wala he mar gaya ho or
kamane ki jimmebari un masoomon ke haath me aa jaye tab aap kaha se use padne
ke pryrit kar paayenge jab ki unke pass apne pet ko bharne ka bhi koi zariya
nahi rahega or bhooke pet to bhajan bhi nahi hota to padai kaha se??? Or aaj ke
Bharat ki position dekh ke to wo panda to soch he nhi sakte kynki jis desh me
aap har pal janata ki jeb par daka dalte rehte ho us desh ko pada likh to kabhi
nahi paaoge.
Main ye to nahi kahunga ki main is kanoon ka virodhi hoon ya
virodh kar raha hoon but jab tak aap public ke liye unki basic need ko poora
nahi kar paayenge tab tak aapke duara
banaye gaye sare kanoon bekaar he rahenge. So mera to ye he kehana hai
ki pehele aap JOB ki guarantee de, salary bhi badayen jaise baki cheezon ke
rate aapne badye hai usi hissab se salary bhi de, sabko rojgaar mile, koi bhi
bhookha na so paaye, tab aap success ho paayenge or tab chotu cahi ki dukaan
par nahi school me dikhega.
Akshay Bhardwaj
April 3, 2013