Maa bohot Dard sah kar..
bohot dard de kar..
tujhse kuch kah kar main jaa rahi hun........
Aaj meri vidai main jab Sakhiyaan milne aayengi...
Safaid Jode main lipti dekh sisak sisak mar jayengi...
Ladki hone ka khud pe fr wo Afsos jatayengi.....
Maa tu unse itna kah dena Darindo k duniya main Sambhal kar rahna...............
Maa Rakhi par jb Bhaiya Kalai suni rah jayegi..
yaad mujhe kar kar jab unki Aankh bhar ayegi....
Tilak mathe par karne ko Maa rooh meri bhi Machal jayegi...
Maa tu bhaiya ko rone na dena...
Main sath hu har Pal unse kah dena............
Maa Papa bhi chhup chhup bohot royenge...
main kuch na kar paya ye kah k khud ko kosenge....
Maa dard unhe ye hone na dena..
Ilzaam koi lene na dena...
Wo Abhimaan hai mera samman hai mera..
tu unse itna kah dena........
Maa tere liye ab kya kahu..
dard ko tere shabdon main kaise bandhu...
fir se jeene ka moka kaise maangu......
Maa log tujhe satayenge....
mujhe azaadi dene ka tujhpe ilzaam lagayenge....
Maa sab sah lena par ye na kahna
"Agle janam Mohe Bitiya na dena"

No comments:
Post a Comment