Apni is khamoshi ko kya naam doon
Apni is deewangi ko kya naam doon
Us din se le kar aaj tak...
Jis din dekha tha tujhe maine paheli baar
Us din se lekar aaj tak...
Jis din jana tha tujhe maine paheli baar
Itni siddat se chahata raha hoon tujhko
Jitni siddat se apne khuda ko bhi na chaha
Us khuda ne is mohabbat ko bejubaan kyn bana diya
Us khuda ne meri mohabbat ko kyn mujh se juda kar diya
Barbaad karke baitha hoon khud ko
Uski mohabbat me ab kaun mujhe barbaad karega...
Wo jaanta hai ki hum unhe mohabbat karte hai
Phir bhi wo jaan kar bhi anjaan hai...
Khamosh raaton me unke he khayal aate hai
Par na jaante hai hum ki wo hume yaad karte hai ya
Yunhi so jaate hai...
Khamosh ho chuka hoon ab main bhi
Ab to bas maut ka intazaar kar raha hoon
Kynki jaanta hoon wo na aayenge
Par ab to maut bhi nahi aati
Na jaane kyn maut bhi mujhse roothi hai
Na jaane kyn takdeer bhi mujhse roothi hai
Apni is khamoshi ko kya naam doon...
Apni is deewangi ko kya naam doon...
Written by- Akshay Bhardwaj
Date- July 29, 2011
Posted Date- July 29,2011
Copywriter @ Akshay Bhardwaj
No comments:
Post a Comment